Thursday, March 26, 2015

Zindagi jeene ko dil karta ha!!!


Aaj na jaane kyun..maa se lori sunne ko jee karta ha ...
Unki godi mei sir rakh ke sone ka jee karta ha.

Naa jaane kyu aaj lukka chuppi khelne ka mann karta ha...
Garmi ki chuttiyoon mei sabke saath ghoomne ka jee karta ha


Ludo aur saanp seedhi mei beyeemaani karne ka jee karta ha...
Carrom board mei rani nikal ke uchalne ko jee karta ha.

Naa janee kyu papa ke saath patang udane ka jee karta ha..
Layatee pakade ke patang ko dheel dena ka jee karta ha.

Na jaane kyu aaj school ke bahar ke samose khane ko jee karta ha...
Bhelpuri mei thoda aur chatni dalwane ko jee karta ha.

Na jaane kyu aaj rickshaw se school jaane ko dil karta ha.
Beech mei utar kar rickshaw ko dhakka lagane ka jee karta ha.

Na jaane kyu aaj school ki prayer gaane ko jee karta ha...
Test mei apne dost ke saath baithne ko mann karta ha.

Naa jaane kyu aaj fir se bachpan mei lautjaane ko jee karta ha


Mast malang hoke zingadi jeene ko dil karta ha 
image:- from google

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.