Monday, February 19, 2018

Maa tune mujhe zindagi. Zeena seekhaya
Acche bure ka matlab bataya..

Kabhi bhi mera kadam dugmagya
Tune mujhe apna haath thamaya...

Maa tune mujhe swaad ka asli matlab chakaya
Saade se khane ko tune lajawaab banaya...

School mei. Mere dibbe k liye friends ko ladwaya..
Maa tune mujhe rishte ka asli matlab sikhaya.

Itna kuch seh krke tune mujhe dunia mei laya
Ladki ko ladke jaise jeena sikhaya.
Maa tune mujhe rishte ka asli matlab sikhaya.

Maa tune mujhe zazbaaton ka matlab sikhaya.
Sabki sun ke bhi. Tune kabhi kisi k liye apshabhd na nikala.
Kisi k prati galat na socha.tune mujhe bachpan se sikhaya.
Maa tune mujhe tyaag ka asli natlab sikhaya.

Sabko khila k tune hamesha aakhir mei khaya.
Apne liye kuch na.lekar . mujhe rani  bitiya

Maa ..tune mujhe sab kuch sikhaya..
Har pal khush rahekar , tune zindagi ko rangeen banaya.

Door ho gayee hoon bahut tujhse maa. Zindagi ki bhaag daud k liye
hal pal tujhe hi yaad krti hoon.maa tu hazzaaar saal jiye.

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.